и посмотреть медиа
DiNiRAAH- Islamic quiz
и посмотреть медиа
Daily Islamic visas to test knowledge. Interesting questions about Islam, the Koran and the Sunnah in the Telegram channel.
Daily Islamic visas to test knowledge. Interesting questions about Islam, the Koran and the Sunnah in the Telegram channel.
DiNiRAAHWe offer daily quizzes on Islamic topics. Test your knowledge of the Quran, Hadith and the foundations of faith. Useful content for Muslims who want to deepen their understanding of religion through interactive tests.
⚠️ ज़कात न देने के नुक़सान ⚠️ रसूलअल्लाह Sallallahu Alaihi Wasallam का इबरतनाक फ़रमान है: जिसे अल्लाह तआला ने माल दिया और उसने उसकी ज़कात अदा न की, तो क़ियामत के दिन वही माल गंजी सांप की शक्ल में कर दिया जाएगा 🐍 जिसके सर पर दो निशान होंगे। वह सांप उसके गले में तौक़ बनाकर डाल दिया जाएगा, फिर उसकी जबड़ों को पकड़कर कहेगा: “मैं तेरा माल हूँ, मैं तेरा ख़ज़ाना हूँ।” फिर नबी करीम Sallallahu Alaihi Wasallam ने यह आयत तिलावत फ़रमाई: 📖 तरजुमा (कन्ज़ुल ईमान): “जो लोग बुख़्ल करते हैं उस चीज़ में जो अल्लाह ने उन्हें अपने फ़ज़्ल से दी, वह हरगिज़ उसे अपने लिए अच्छा न समझें, बल्कि वह उनके लिए बुरा है, अनक़रीब जिस में बुख़्ल किया था क़ियामत के दिन उनके गले का तौक़ होगा।” (पारा 4, सूरह आले इमरान, आयत 180) 📚 सहीह बुख़ारी, किताबुज़ ज़कात, हदीस 1403 (2) ज़कात न देने का अंजाम हदीस: ज़कात न देने वाला क़ियामत के दिन दोज़ख़ में होगा 🔥 (मजमउज़ ज़वायद, जिल्द 3, हदीस 4337) (3) माल और कंजूसी आज बहुत से लोगों के पास बैंक बैलेंस, इन्वेस्टमेंट, तिजारत और जायदाद है, मगर फिर भी ज़कात देने से जी चुराते हैं 💔 🤲 दुआ: या अल्लाह! हमें तेरे दिए हुए माल में से तेरी ही राह में इख़्लास के साथ देने की तौफ़ीक़ अता फ़रमा। आमीन। ⚠️ Zakat Na Dene Ke Nuqsanat ⚠️ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Ibrat Naak Farman Hai: Jisko Allah Ta’ala Ne Maal Diya Aur Usne Uski Zakat Ada Na Ki To Qiyamat Ke Din Wohi Maal Ganje Saanp Ki Surat Mein Kar Diya Jayega 🐍 Jiske Sar Par Do Nishan Honge Woh Saanp Uske Gale Mein Tauq Bana Kar Daal Diya Jayega Phir Uski Baanchein Pakad Kar Kahega: “Main Tera Maal Hoon, Main Tera Khazana Hoon.” Phir Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Yeh Aayat Tilawat Farmaai: 📖 Tarjuma Kanzul Iman: “Jo Log Bukhl Karte Hain Us Cheez Mein Jo Allah Ne Unhe Apne Fazal Se Di, Woh Hargiz Use Apne Liye Achha Na Samjhein, Balki Woh Unke Liye Bura Hai, Anqareeb Jis Mein Bukhl Kiya Tha Qiyamat Ke Din Unke Gale Ka Tauq Hoga.” (Paarah 4, Surah Aale Imran, Aayat 180) 📚 Sahih Bukhari, Kitabuz Zakat, Hadis 1403 (2) Zakat Na Dene Ka Anjaam Hadis: Zakat Na Dene Wala Qiyamat Ke Din Dozakh Mein Hoga 🔥 (Majmauz Zawaid, Jild 3, Hadis 4337) (3) Maal Aur Kanjusi Aaj Bahut Se Logon Ke Paas Bank Balance, Investment, Tijarat Aur Jaidad Hai Magar Phir Bhi Zakat Dene Se Jee Churate Hain 💔 🤲 Dua: Ya Allah! Hame Tere Diye Huye Maal Mein Se Teri Hi Raah Mein Ikhlaas Ke Saath Dene Ki Taufiq Ata Farma. Aameen. #Zakat #Farz #Aakhirat #IslamicReminder #Diniraah
Открыть канал и посмотреть медиаOnly registered users can share their opinion.
Be the first to share your impression of this resource!