и посмотреть медиа
DiNiRAAH- Islamic quiz
и посмотреть медиа
Daily Islamic visas to test knowledge. Interesting questions about Islam, the Koran and the Sunnah in the Telegram channel.
Daily Islamic visas to test knowledge. Interesting questions about Islam, the Koran and the Sunnah in the Telegram channel.
DiNiRAAHWe offer daily quizzes on Islamic topics. Test your knowledge of the Quran, Hadith and the foundations of faith. Useful content for Muslims who want to deepen their understanding of religion through interactive tests.
⚠️ Murday Ki Tamannaa ⚠️ Log qabristan mein aik mayyat ko dafan karke faarigh hi hue thay tabhi aik baray miyan qareeb aa kar kharay ho gaye aur dafan mein shareek tamam logon se poochne lage… Bhaiyo, batao ke agar yeh shakhs jise abhi tumne supurday khaak kiya hai, yeh abhi duniya mein wapas aa jaye toh yeh kya karega..!? Baray miyan ke is sawal par aik dafa toh sabko jhatka laga ke aakhir yeh baray miyan kya kehna chahte hain, baray miyan ne sabko taajjub mein dekh kar farmaya: Bhaiyo, main aik insaan hi hoon aur mera sawal bohot aasan hai, aur koi mere sawal ka jawab dena pasand karega ke yeh murda shakhs jise tumne abhi abhi dafan kiya hai agar yeh duniya mein wapas aa jaye toh yeh kya karega, aap log mere sawal ka jawab dijiye; Ek do aadmi halki awaz mein bole, nek kaam karega, achay kaam karega, itne mein peechay se bhi kuch awazen aane lagi jaisa ke majme mein aam tor se hota hai ke jab aik aadmi bolta hai toh phir sab apni apni rai dene lagte hain. Ek awaaz baray miyan ke kaan mein pohanchi ke, yeh deen ka kaam shuru kar dega. Ek awaaz yeh bhi aayi ke, yeh Quran-o-Sunnat par amal karega. Abhi jawabon ka yeh silsila chal hi raha tha ke baray miyan bole ke: Maine aap mein se bohot se logon ke jawab sune lekin sabke jawab aur sabki baaton ka khulasa aur nichor yahi hai ke yeh duniya mein wapas aa kar Allah aur uske Rasool ﷺ ki itaat aur farmaa bardari karega aur zindagi mein kabhi naframani nahi karega. Lekin mere bhaiyo, ab yeh kabhi bhi apni qabr se nikal kar duniya mein wapas nahi aayega. Haan tum log abhi apni apni qabron se bahar ho is liye yeh nek kaam karne ka moqa abhi tumhare paas hai, is liye tum Allah aur uske Rasool ﷺ ki itaat aur farmaa bardari ke woh kaam kar lo jo yeh apni qabr se bahar nikal kar karna chahta hai. Mere bhaiyo, dekhne mein toh tumhare aur is mayyat ke darmiyan do char fit ka faasla hai ke yeh qabr ke andar hai aur tum qabr ke bahar ho magar dar haqeeqat yeh bohot bara faasla hai. Yeh baatein keh kar baray miyan ne salaam kiya aur wahan se chale gaye lekin qabr ke paas kharay har shakhs par kapkapi taari ho gayi aur wahan mojood har shakhs ki zubaan par apne gunaahon se istaghfar aur aankhon se aansu jaari thay. Kaash… humein bhi kisi janazay se aisi ibrat hasil ho jaye aur apni zindagi ki gaari sahi dagar par aa jaye. Hum bhi Parwardigar-e-Alam ke samne sacchi tauba karein aur apni aakhirat ko sanwarnay mein lag jayein. Dua hai Allah Ta’ala hum sabko nek amal ki toufeeq ata farmaaye… Aameen Ya Rabb-ul-Aalameen…
Открыть канал и посмотреть медиаOnly registered users can share their opinion.
Be the first to share your impression of this resource!