и посмотреть медиа
DiNiRAAH - Concurso islámico
и посмотреть медиа
Visas islámicas diarias para probar el conocimiento. Preguntas interesantes sobre el Islam, el Corán y la Sunnah en el canal de Telegram.
Visas islámicas diarias para probar el conocimiento. Preguntas interesantes sobre el Islam, el Corán y la Sunnah en el canal de Telegram.
DiNiRAAHOfrecemos cuestionarios diarios sobre temas islámicos. Prueba tu conocimiento del Corán, Hadith y los fundamentos de la fe. Contenido útil para los musulmanes que quieren profundizar su comprensión de la religión a través de pruebas interactivas.
Daour-E-Halaat Ka Muashra Hamari Qoum Ki Sabse Bari Kamzori Hamare Naujwan Hain. Jo Na Baat Karne Ka Saleeqa Rakhtay Hain Aur Na Zindagi Ke Maqsad Ko Samajhtay Hain. Fuzool Cheezon Mein Apni Jaane Zaya Kar Rahe Hain Aur Qoum Ko Pasti Ki Taraf Le Ja Rahe Hain. Kuch Misalein: ➖ Train Se Latak Kar Stunt Karte Hain, Samajhte Hain Naam Banega, Magar Jaan Chali Jaati Hai. ➖ Nashe Ki Latt Ne Naujwanon Ko Tabah Kar Diya Hai. Khud Karte Hain Aur Ilzam Gairon Par Lagate Hain. ➖ Ladki Ke Chakkar Mein Khudkashi Kar Rahe Hain, Zindagi Ki Ahmiyat Samajh Nahi Rahe. ➖ Bike Stunt Kar Ke Maut Ko Gale Laga Lete Hain. ➖ Apne Hi Area Mein Fazool Jhagday Karte Hain, Aur Aakhir Mein Ya To Police Encounter Ya Gang War Mein Maare Jaate Hain. ➖ Gusal Ke Farz Nahi Maloom, Lekin Maslak Ke Jhagday Zaroor Karte Hain. Sochnay Ki Baat: Kya Ye Zindagi Hai? Kya Humein Yeh Maloom Hai Ke Musalmanon Ke Sath Duniya Mein Kya Halat Ho Rahe Hain? Jab Samjhaya Jata Hai To Kehte Hain: "Apna Kaam Karo, Dusron Ki Fikr Chhodo." Ae Naujwano! Abhi Bhi Waqt Hai, Apni Zindagi Barbad Mat Karo. Sach Bolo, Adab Se Pesh Aao, Jhoot Aur Chughli Se Bacho. Yaad Rakho, Jab Hum Apni Zindagi Aur Kirdar Ko Sanwar Lenge, To Duniya Humein Izzat Ki Nigah Se Dekhegi. Yeh Paigham Har Musalman Naujwan Ke Liye Hai. Insha Allah Woh Waqt Zaroor Ayega Jab Duniya Hamari Qoum Ko Misaal Banayegi. Aao, Apni Zindagi Ko Behtar Banayein Aur Qoum Ko Urooj Ki Taraf Le Jayen! A Silent Message For All Muslims.
Открыть канал и посмотреть медиаआज का सवाल कौन से नबी को "कलीमुल्लाह" कहा जाता है? Ссылка скрыта
Открыть канал и посмотреть медиаSawal ka jawab 👇👇 Ссылка скрыта
Открыть канал и посмотреть медиа✊یــــــــــــــــــا رسول الـــلّٰـــه ﷺ ❱ *ιѕLαɱi sᏆαTus* ❰ ••───────••───────•• *Rizak ki Barkat ka Zariya AL Nikah hai* 🎙️Muhammad Saqib Raza Mustafai sahab Tïᴍε ➲ OO : 59 *TαliB є Duaa 🤲🏻 ᎪdmiN TαiM*
Открыть канал и посмотреть медиа✊یــــــــــــــــــا رسول الـــلّٰـــه ﷺ ❱ *ιѕLαɱi sᏆαTus* ❰ ••───────••───────•• *Jo mayassar hai uski qadar karna sinkho* 🎙️Muhammad Saqib Raza Mustafai sahab Tïᴍε ➲ OO : 44 *TαliB є Duaa 🤲🏻 ᎪdmiN TαiM*
Открыть канал и посмотреть медиа⚠️ Murday Ki Tamannaa ⚠️ Log qabristan mein aik mayyat ko dafan karke faarigh hi hue thay tabhi aik baray miyan qareeb aa kar kharay ho gaye aur dafan mein shareek tamam logon se poochne lage… Bhaiyo, batao ke agar yeh shakhs jise abhi tumne supurday khaak kiya hai, yeh abhi duniya mein wapas aa jaye toh yeh kya karega..!? Baray miyan ke is sawal par aik dafa toh sabko jhatka laga ke aakhir yeh baray miyan kya kehna chahte hain, baray miyan ne sabko taajjub mein dekh kar farmaya: Bhaiyo, main aik insaan hi hoon aur mera sawal bohot aasan hai, aur koi mere sawal ka jawab dena pasand karega ke yeh murda shakhs jise tumne abhi abhi dafan kiya hai agar yeh duniya mein wapas aa jaye toh yeh kya karega, aap log mere sawal ka jawab dijiye; Ek do aadmi halki awaz mein bole, nek kaam karega, achay kaam karega, itne mein peechay se bhi kuch awazen aane lagi jaisa ke majme mein aam tor se hota hai ke jab aik aadmi bolta hai toh phir sab apni apni rai dene lagte hain. Ek awaaz baray miyan ke kaan mein pohanchi ke, yeh deen ka kaam shuru kar dega. Ek awaaz yeh bhi aayi ke, yeh Quran-o-Sunnat par amal karega. Abhi jawabon ka yeh silsila chal hi raha tha ke baray miyan bole ke: Maine aap mein se bohot se logon ke jawab sune lekin sabke jawab aur sabki baaton ka khulasa aur nichor yahi hai ke yeh duniya mein wapas aa kar Allah aur uske Rasool ﷺ ki itaat aur farmaa bardari karega aur zindagi mein kabhi naframani nahi karega. Lekin mere bhaiyo, ab yeh kabhi bhi apni qabr se nikal kar duniya mein wapas nahi aayega. Haan tum log abhi apni apni qabron se bahar ho is liye yeh nek kaam karne ka moqa abhi tumhare paas hai, is liye tum Allah aur uske Rasool ﷺ ki itaat aur farmaa bardari ke woh kaam kar lo jo yeh apni qabr se bahar nikal kar karna chahta hai. Mere bhaiyo, dekhne mein toh tumhare aur is mayyat ke darmiyan do char fit ka faasla hai ke yeh qabr ke andar hai aur tum qabr ke bahar ho magar dar haqeeqat yeh bohot bara faasla hai. Yeh baatein keh kar baray miyan ne salaam kiya aur wahan se chale gaye lekin qabr ke paas kharay har shakhs par kapkapi taari ho gayi aur wahan mojood har shakhs ki zubaan par apne gunaahon se istaghfar aur aankhon se aansu jaari thay. Kaash… humein bhi kisi janazay se aisi ibrat hasil ho jaye aur apni zindagi ki gaari sahi dagar par aa jaye. Hum bhi Parwardigar-e-Alam ke samne sacchi tauba karein aur apni aakhirat ko sanwarnay mein lag jayein. Dua hai Allah Ta’ala hum sabko nek amal ki toufeeq ata farmaaye… Aameen Ya Rabb-ul-Aalameen…
Открыть канал и посмотреть медиаनमाज वो पहली चीज है जिसके बारे में हमसे सवाल किया जाएगा, तो हमें इसे आखिरी चीज नहीं बनाना चाहिए
Открыть канал и посмотреть медиаKhanay Ke Baad Ke Aadaab: Hadees Shareef Mein Hai Ke Jo Dastarkhwan Par Giri Hui Cheez Roti Wagairah Ke Tukray Ko Utha Kar Kha Lega To Allah Ta'ala Uske Rizq Mein Kushadgi Ata Farmaega Aur Uski Aulaad Be Aib Aur Sehat O Salamat Ke Sath Rahegi. Ba'az Riwayat Mein Hai Ke Uthakar Khane Wala Mohtaaji, Kodh Aur Bars Ki Bimari Se Mehfooz Rehta Hai Aur Uski Aulaad Himaqat Se Mehfooz Rehti Hai. Khanay Ke Baad Yeh Dua Parhay: اَلْحَمْدُ لِلّٰهِ الَّذِىْ اَطْعَمَنَا وَسَقَانَا وَجَعَلَنَا مِنَ الْمُسْلِمِينَ Iske Baad قُلْ هُوَ اللّٰهُ Shareef Aur لِاِیْلٰفِ قُرَیْشٍ Parhay. 📗 Kimia-e-Saadat Page 243 📙 Ihyaul Uloom Jild 2, Page 6
Открыть канал и посмотреть медиаSolo los usuarios registrados pueden compartir su opinión.
¡Sé el primero en compartir tu experiencia con este recurso!