и посмотреть медиа
DiNiRAAH - исламский квиз
и посмотреть медиа
Ежедневные исламские квизы для проверки знаний. Интересные вопросы по исламу, Корану и сунне в Telegram канале.
Ежедневные исламские квизы для проверки знаний. Интересные вопросы по исламу, Корану и сунне в Telegram канале.
DiNiRAAH предлагает ежедневные викторины по исламским темам. Тестируй свои знания Корана, хадисов и основ веры. Полезный контент для мусульман, желающих углубить понимание религии через интерактивные тесты.
🌙 Ramzan Ki Judaai Ka Gham 💔 ✨ Aaj Hum Ye Sochkar Khush Ho Rahe Hain Ki Ramzan Ja Raha Hai, Kal Eid Hai... Magar Kya Sahaaba E Kiraam Bhi Isi Tarah Ramzan Ke Jane Ki Khushi Kiya Karte The? ❓ 💖 Hargiz Nahi! 💖 🕌 Sahaaba E Kiraam 🌟 Radiy-Allāhu Ta’ala Anhum 🌟 6 Mahine Pahle Se Ramzan Ka Intezar Karte The Aur 6 Mahine Baad Tak Uske Jane Ke Gham Mein Guzarte The. 💫 Aapko Maloom Hai? 💫 💔 Ye Rehmaton Bhara Wo Mahina Humse Juda Ho Raha Hai, 🔹 Jisme Allah Sabse Zyada Rehmatein Aur Barkatein Nazil Farmata Hai. 🔹 Ye Wo Mahina Hai Jisme Qur’an Nazil Hua. 🔹 Yahi Wo Mahina Hai Jisme Ek Neki Ka Sawab 70 Gunah Kardia Jata Hai. 🕋 Jo Ramzan Ke Aane Par Khushi Ka Izhar Kare Aur Jane Par Gham Ka Izhar Kare, Allah Ta'ala Usko Jannat Ataa Farmayega! 🤲 🌙 Ye Maahe Mubarak Kisi Aur Ummat Ko Na Mila, 💖 Sirf Ummat-E-Muhammadi Ko Mila! ﷺ 💎 Isi Mubarak Mahine Mein Wo Raat Aati Hai, 🌠 Jisme Ibaadat Karke Humein 1000 Mahino Se Behtar Sawab Diya Jata Hai! 💦 Ramzan Ki Har Ghadi Mein Beshumar Barkatein Aur Rehmatein Hain. ⚠️ Ramzan Ke Baad Fir Wahi Gunahon Ka Daur Shuru Ho Jayega. 🔓 Shaitan Azaad Ho Jayega Aur Musalman Fir Uske Fareb Mein Aa Jayega! 📜 Hazrat Abdul Qadir Jilani Rehmatullahi Alaih 💚 Eid Ke Din Farma Rahe The: "Log Keh Rahe Hain Aaj Eid Hai, Aaj Eid Hai... Abdul Qadir Jilani Ki Eid To Jab Hogi Jab Imaan Ke Sath Duniya Se Chala Jaun!" 🕊️ Aao Allah Se Dua Karte Hain... 🤲 Ya Allah! Hum Teri Ibaadat Ka Haqq Ada Na Kar Sake, Humne Aisi Ibaadat Na Ki Jaisa Uska Haqq Tha! Ya Allah! Fir Bhi Tu Hamari Ibaadat Ko Qubool Farma Aur Humein Maaf Kar De! 🌙 Agle Ramzan Humein Naseeb Farma, Taaki Jo Waqt Is Ramzan Mein Ibaadat Se Mehroomi Mein Guzar Gaya, Waisa Waqt Dobara Na Aaye, Aur Hum Agle Saal Teri Khoob Ibaadat Karein! 🌹 Ya Allah! Humein Bakhsh De, 🌿 Tu Raheem Hai, Hum Par Reham Farma! 🌺 Apni Rehmat Ke Darwaze Khul De! 💠 Hamare Sagira, Kabira Gunahon Ko Maaf Farma! 💖 Humein Jannat Mein Apna Deedaar Ataa Farma! 🏡 Aur Apne Habeeb ﷺ Ka Pados Humein Jannat Mein Ataa Farma! 🤲 Ya Rabbe Kareem! Hum Par Apna Khaas Karam Farma! Aameen Summa Aameen! 💞
Открыть канал и посмотреть медиаТолько зарегистрированные пользователи могут делиться своим мнением.
Станьте первым, кто поделится своим впечатлением об этом ресурсе!