и посмотреть медиа
DiNiRAAH - исламский квиз
и посмотреть медиа
Ежедневные исламские квизы для проверки знаний. Интересные вопросы по исламу, Корану и сунне в Telegram канале.
Ежедневные исламские квизы для проверки знаний. Интересные вопросы по исламу, Корану и сунне в Telegram канале.
DiNiRAAH предлагает ежедневные викторины по исламским темам. Тестируй свои знания Корана, хадисов и основ веры. Полезный контент для мусульман, желающих углубить понимание религии через интерактивные тесты.
⚠️ ज़कात न देने के नुक़सान ⚠️ रसूलअल्लाह Sallallahu Alaihi Wasallam का इबरतनाक फ़रमान है: जिसे अल्लाह तआला ने माल दिया और उसने उसकी ज़कात अदा न की, तो क़ियामत के दिन वही माल गंजी सांप की शक्ल में कर दिया जाएगा 🐍 जिसके सर पर दो निशान होंगे। वह सांप उसके गले में तौक़ बनाकर डाल दिया जाएगा, फिर उसकी जबड़ों को पकड़कर कहेगा: “मैं तेरा माल हूँ, मैं तेरा ख़ज़ाना हूँ।” फिर नबी करीम Sallallahu Alaihi Wasallam ने यह आयत तिलावत फ़रमाई: 📖 तरजुमा (कन्ज़ुल ईमान): “जो लोग बुख़्ल करते हैं उस चीज़ में जो अल्लाह ने उन्हें अपने फ़ज़्ल से दी, वह हरगिज़ उसे अपने लिए अच्छा न समझें, बल्कि वह उनके लिए बुरा है, अनक़रीब जिस में बुख़्ल किया था क़ियामत के दिन उनके गले का तौक़ होगा।” (पारा 4, सूरह आले इमरान, आयत 180) 📚 सहीह बुख़ारी, किताबुज़ ज़कात, हदीस 1403 (2) ज़कात न देने का अंजाम हदीस: ज़कात न देने वाला क़ियामत के दिन दोज़ख़ में होगा 🔥 (मजमउज़ ज़वायद, जिल्द 3, हदीस 4337) (3) माल और कंजूसी आज बहुत से लोगों के पास बैंक बैलेंस, इन्वेस्टमेंट, तिजारत और जायदाद है, मगर फिर भी ज़कात देने से जी चुराते हैं 💔 🤲 दुआ: या अल्लाह! हमें तेरे दिए हुए माल में से तेरी ही राह में इख़्लास के साथ देने की तौफ़ीक़ अता फ़रमा। आमीन। ⚠️ Zakat Na Dene Ke Nuqsanat ⚠️ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Ibrat Naak Farman Hai: Jisko Allah Ta’ala Ne Maal Diya Aur Usne Uski Zakat Ada Na Ki To Qiyamat Ke Din Wohi Maal Ganje Saanp Ki Surat Mein Kar Diya Jayega 🐍 Jiske Sar Par Do Nishan Honge Woh Saanp Uske Gale Mein Tauq Bana Kar Daal Diya Jayega Phir Uski Baanchein Pakad Kar Kahega: “Main Tera Maal Hoon, Main Tera Khazana Hoon.” Phir Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Yeh Aayat Tilawat Farmaai: 📖 Tarjuma Kanzul Iman: “Jo Log Bukhl Karte Hain Us Cheez Mein Jo Allah Ne Unhe Apne Fazal Se Di, Woh Hargiz Use Apne Liye Achha Na Samjhein, Balki Woh Unke Liye Bura Hai, Anqareeb Jis Mein Bukhl Kiya Tha Qiyamat Ke Din Unke Gale Ka Tauq Hoga.” (Paarah 4, Surah Aale Imran, Aayat 180) 📚 Sahih Bukhari, Kitabuz Zakat, Hadis 1403 (2) Zakat Na Dene Ka Anjaam Hadis: Zakat Na Dene Wala Qiyamat Ke Din Dozakh Mein Hoga 🔥 (Majmauz Zawaid, Jild 3, Hadis 4337) (3) Maal Aur Kanjusi Aaj Bahut Se Logon Ke Paas Bank Balance, Investment, Tijarat Aur Jaidad Hai Magar Phir Bhi Zakat Dene Se Jee Churate Hain 💔 🤲 Dua: Ya Allah! Hame Tere Diye Huye Maal Mein Se Teri Hi Raah Mein Ikhlaas Ke Saath Dene Ki Taufiq Ata Farma. Aameen. #Zakat #Farz #Aakhirat #IslamicReminder #Diniraah
Открыть канал и посмотреть медиаHar Saal Ki Tarah Is Saal Bhi Ramzan Me Garibon Ki Madad Ke Liye Diniraah Ki Janib Se Ye Kaam Shuru Kia Hai Aap Isme Hamara Sath Den Aapke Paise Ki Zakat Sadqa Aur Jo bhi Aap ALLAH ki Raah Main Garibon Mishkino Ki Madad ke lie Help Karna Chahte Hai to Donation karen Allah Aapko Iska Jaza-e-Khair Aapko Zaroor Ataa Farmayega Sirf 10₹ 50₹ 100₹ 200₹ Rs. Hi Aapko bhejne hai isse Zyada Agar koi bhejna Chahe To uski Marzi Allah Jaza-e-Khair Ataa farmaye Paytm 👉 9456924457 Phone Pe 👉 9456924457 Google Pay👉9456924457 Upi Id👉 dini.raah@upi Guzarish: Paisa Bhejkar Screen shot What's App Number 9456924457 Par Sent Kardein Email: [email protected] Jazakallahu Khair #Donation #Ramzan #Zakat #Sadqa
Открыть канал и посмотреть медиаBachpan Ki Tarbiyat | Aaj Ki Laaparwahi, Kal Ka Nuqsaan ⚠️ | Har Walidain Ke Liye Paighaam
Открыть канал и посмотреть медиа“Guzre hue saal ko alvida kehne ki bajaye, apne gunahon ko alvida kahiye. Isi soch se insaan apne aap ko behter banane ki koshish karta hai. Allah hamein taufeeq de. Aameen.”. #newyear
Открыть канал и посмотреть медиаJab Zindagi Ka Saathi Bebas Ho Jaye To Use Chhoda Nahin Jata, Use Thaama Jata Hai. Mohabbat Ka Asal Imtehaan Khushi Ke Lamhaat Mein Nahin, Kamzori Ke Waqt Mein Hota Hai. Jab Haalaat Mushkil Ho Jayein, Raaste Dhundhla Jayein, Aur Wujood Thakan Se Jhuk Jaye Tab Chhodne Wala Nahin, Sahara Dene Wala Dil Hi Saccha Hota Hai. Zindagi Ke Safar Mein Saath Sirf Chalna Kaafi Nahin, Kabhi Kabhi Kisi Ko Utha Kar Chalna Bhi Mohabbat Ka Sab Se Khubsurat Izhaar Hota Hai.
Открыть канал и посмотреть медиаHamara Muashra Masjid Mein Dakhila Muft Hai, Magar Masjidein Khali Pari Hain, Aur Club Mein Dakhila Fees Hai, Magar Club Bhare Pare Hain. Ta’ajjub Ki Baat Hai Ke Log Muft Mein Jannat Jane Ki Bajaye, Paise De Kar Jahannum Mein Jane Ko Tarjeeh Dete Hain.
Открыть канал и посмотреть медиа> Khataon Par Khataen Hain Mobile Par Nigaahen Hain Tilawat Na Duaen Hain Mobile Par Nigaahen Hain > Ye Shab Bhar Jaagne Ki Lat Mohabbat Ho Nahi Sakti Ye Gumraahi Ki Rahein Hain, Mobile Par Nigaahen Hain > Ajab Daur-e-Fitna Aaya Ke Fikr-e-Ghair Mehram Mein Hamaari Sab Wafaen Hain, Mobile Par Nigaahen Hain > Pareshan Hain Mere Bhai, Pareshan Hain Meri Behnain Pareshan Meri Maen Hain, Mobile Par Nigaahen Hain > Bazahir Deen Daari Hai, Labon Par Deen Ki Baatein Teh-e-Dil Maikadaen Hain, Mobile Par Nigaahen Hain > Ye Shauq-e-Badnigahi Ne Humein Be-Hiss Bana Daala Museebat Ki Hawaen Hain, Mobile Par Nigaahen Hain
Открыть канал и посмотреть медиаनमाज़ के फ्राइज़ _ faraize namaz kitne hai _ These 6 things are obligatory in Namaz
Открыть канал и посмотреть медиаYoum-e-Azaadi Mubarak ho Hamen Is #Mulk Se Mohabbat Hai Kyunki Hamare Nabi Ne Bhi Isse Mohabbat ki Hai Aur Ye Ashiqane Nabiyon ka Mulk Hai Yahan Beshumar Wali Allah Tashrif Laye Hai 🎤 Sadiq Razvi #YoumeAzadi #15August #Independence Join👉@Diniraah Daily Quraan, Hadees, Audio, Video, Books, Message👉 Ссылка скрыта
Открыть канал и посмотреть медиаТолько зарегистрированные пользователи могут делиться своим мнением.
Станьте первым, кто поделится своим впечатлением об этом ресурсе!